Search This Blog

Wednesday, December 30, 2009

Images..

Tere Ishq mein aye Jaan-e-Jaan...
Itni Shiddatein rahin...
Mere Khwabon ke katre katre...
Bade Haseen se Lagte the...

Aisa Kyun Kiya..waisa kyun nahin..
Tumne Us waqt Mujhe..Dekha Kyun nahin...
Uske Lafzon...mein woh Shikwe..
Bade Haseen se lagte the...

Mehfilon mein tere Jalwe..
Fursaton mein teri yaad...
Tere Charche Zameen-o-baam par...
Bade Haseen se lagte the...

Gard Gard Ho Gayi hai Shakl...
Raah-e-Ishq ki Khaak mein...
Jab chale the ghar se "Niraj"..
Bade Haseen se lagte the...


Shiddat : Devotion
baam : Sky
Gard,Khaak : Dust

Saturday, December 19, 2009

Ab...!!

Ishq-e-waada nibaah ka..jazbaa unhe hai ab...
Mere Mijaaz-e-dil ki parwaah....unhe hai ab..

Mujhse baat karne ki..zaroorat hi kya rahi...
Mere Haal-o-Chaal ka..pataa unhe hai ab...

Ab to itaraa rahe hain..unke zulm-o-karam sabhi..
Sahme Sahme..Khuda ki..Razaa unhe hai ab...

Ek Daur ki jubaan hai..Ek Umr Ka Bayaan hai..
Apne shauq-e-Husn ka..Rutbaa unhe hai ab..

Mujhe Saamne ko Paakar..Jo chupp woh kahin rahe..
Unke Gurror-e-had ki...intehaan unhe hai ab...

Un Raaston ki Mehfilein..Un Faaslon ke kaarwan..
Us Sukoon-e-Justju ka...Armaan unhe hai ab...

Suroor-e-lafz "Niraj"..Ab tum mein Na raha...
Rang-e-Aashiqui ko..Duniya unhe hai ab...


nibaah : Fulfillment
jazbaa : feeling
razaa : Agreement,Wish
Rutbaa: Pride,Glory

Friday, December 18, 2009

Karz...

Roz Sawera Hote hi...
Ek Noor Chamakne Lagta hai...
Rozgaar ki Rehguzar mein...
Zehan bhatakne lagta hai...
Aarzu.on ki Dopahar tak...
Pasina Tapakne lagta hai...
Pareshaniyon ki shaam ho..
To badan dehakne lagta hai..
Teri Yaadon ki raat mein...
Zameen behakne lagti hai...
Ek nashile Kagaz par..
Mera Lafz chahekne lagta hai..

Yun Guzarte hain..mere din..
Mere Maah...Mere Saal..
Roz Ek Karz Ka Tamaasha..
Roz Ek Sood ka Bawaal...

Jaise Doobe hain..mere ashq..mere nabz...
mere Jism-o-rooh...mere ranj-o-sawaal...
Jaise rakkhe ho.n Girwi...kadamon mein tere...
Mere shaam-o-Saher...Mere khwab-o-khayal...

Thursday, December 10, 2009

Yun to Hota Hi Rahega....

Yun to hota hi rahega...
Yeh Kisse Kuch Ajeeb nahin...
Ittefaqan tumse mulaqaat ho...
Aise to apne naseeb nahin...

Is fan ki maharat milne ko...
junoon-o-riyaazat hona hai...
Hanske Taqdeeron se khelein...
Aise to hum bhi..areeb nahin...

Kuch hongi na-gawaar yakeenan..
Aur Kuch Be-Baak bhi Hongi hi...
Aarzuein hamari be-gairat nahin...
Aur kuch bhi ho.n....Gareeb nahin...

Zindagi aur tum mein.. bahas...
Wajeeb-o-laazmi hi to hai...
Mujhe Ek hamesha kheenche hai...
Aur tum uske kareeb nahin...


Ittefaqan : Accidently
riyaazat : Practice
mahaarat : Expertise
areeb : Skillful
wajeeb : justified
laazmi : Obvious

Thursday, December 3, 2009

An Obituary...

Woh Ishq tha..khumaar tha...
Har waqt mein shumaar tha...
Woh Mehfil-e-Jaanfishaan...
Har Ruh ka Qaraar tha....

Woh har pal ek sukuun tha..
Mere Lafzon ka Junoon tha...
Woh Mera ek suroor tha..
Meri Bazm ka guroor tha...

woh badaa-o-sharaab tha...
woh noor-e-mahtaab tha..
Meri Chaal ka rubaab tha..
Meri Umr ka Hisaab tha..

Shararaton ka aashiyaan..
Shikayatein Be-panaah...
Baatein Faqr mein lipti huin..
Woh Har Tanz ka Jawaab tha...

Fiqrein masoom si woh...
Nigaah Aatishaan si thi...
Woh Chup to har khuda sa tha..
Har zubaan hi ek dua si thi..

Woh Jab bhi Roobaru hua..
Ek Silsila shuru hua..
Woh kahin to ek aarzu bhi thi..
Imaan-o-Justju bhi tha...

Meri neend ka ahd-o-jaam tha...
Woh Chain tha..Aaraam tha...
Ghhula tha..yun meri zaat mein...
Woh mera har kalaam tha...

Woh hai mukkammal kisi chaand ki tarah..
Maine Umeed-o-Wafaa raazi rakh liya...
Aaj Maine "Niraj" Ek kharaabi kar li...
Tera Naam badalkar.."Maazi" rakh liya...


Khumaar : Nasha
Zaat : Personality
Bazm : World
mehfil-e-Jaan-Fishaan : life of a party
Justju : Search
Maazi : Past
Noor : Light
Mukkammal : Complete
Mahtaab : Moon

Falsafaa...

Ek paak ibaadat hoti hai...
Suroor-e-Shikayat hota hai...
Kuch Ho Na ho..is duniya mein..
Yeh Ishq.. Qayamat hota hai...

Sunday, November 15, 2009

Farq...

Jaane Kya Badla Hai Jaana...
Tere Jaane Ke baad...
Har Shab teri raahon mein hum...
Daastan Badalte rahe...

Gham-e-Hijr Se bachne ko..
Kya kya raaste doondhe gaye...
Hum Kaandhe Badalte Rahe...
Aur Tum Aastaan Badalte rahe...

Lighter Moments -3

Koi Zabt.. na raha...
Na koi Jaan-Fishaani...
Koi Hisaab bhi.. ab na raha...
Meri zindagi mein tum to..
Yun aate-jaate hi rahe...

Tankhwahah be-had ho jaise...
Aur Naukari Sarkari ho..


Zabt : Discipline
Jaan-Fishaani : Diligence

Lighter Moments -2

Aap karlo lakh koshish...
baraabar "RE-FILL" karane ki...
Har Sheh hi badhti hai zindagi mein...
"F" se "E" ki taraf....!!!

Lighter Moments -1

Tumse shuru hue hain yun...
Silsile Shikayaton ke Jaana..
Tere Jaane ke baad...

Jaise rehte hain Khade...
Kharche munh faad ke...
Tankhwahah aane ke baad....

Sunday, October 11, 2009

Shayad....!!!

Meri ishq ki shiddat par..koi sawaal na rakhna...
Har nazm ye sochkar likhi hai..ke shayad aakhri ho..

Tere Waadon ka bawaal..duniya ne uttha rakha hai...
hum yun yakeen karte rahe..ke shayad aakhri ho...

Bahut aasan lagte hain..tere firaaq ke lamhe...
Har waqt hi ye gumaan hota..ke shayad aakhri ho...

Kya Hua hai..Kuch nahi..pehle yeh kabhi hua to nahi...
koi to bataye mujhe..tum pehle ho..ke shayad aakhri ho...

Zindagi.. teri bazm mein..muktasar..yun rahi..
Saansein yun guzarti gayi...ke shayad aakhri ho...

Ek aarzu hai..roz ki..Har roz ka malaal hai...
Ab ke milna to bas aise milna.. ke shayad aakhri ho...

Manzil-e-ishq ki raah mein..atkalein to hongi hi...
Tum aasan guzar jaao..ke shayad aakhri ho...

Ab bas bhi karo.."Niraj"..Bakhaan apni wafaaon ka...
log yun hi sehte rehte hain.. ke shayad aakhri ho...

Tuesday, October 6, 2009

Reckless...

Bahut hi Laparwaah rahe...."Niraj" apni mohabbat mein...
"Chabhi-waale" ki tarah..nikal jaate the..apni dukaan chhod kar..

Monday, September 21, 2009

Chhod Na Yaar...Jaane De...!!

Ek raah thi jo kho gayi...
Ek Raah thi jo Mil Gayi...
Kis Raah ka sawaal hai..??
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Ek Roz jo kismat ne kaha..
"Kuch Waqt Guzaro..hamare saath".
Main bhi kuch rubaab mein tha..Kaha..
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Yeh Raat Bhar ki Jadd-o-jahed...
Yeh Roz Subah ki kash-m-kash..
Ek Jhalak Se aakhir Hoga kya...
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Kya baat hai..Is Ishq mein ??
Kya Hai Is Sheh ka Sabab ???
Yeh Khwamkhwah ki mehnat hai...
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Kho Gaye Hain..Shayar Hazaar..
Is chaandni ke...chakkar mein..
Kya Haath tumhare Aayega...??
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Kisiko Sukun hai to kaho...
Kisiko Malaal hai to kaho...
Tere Jeene mein ab koi baat nahi...
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Taarif-e-ghazal ki chah mein..
Dekha jo maine aapko...
Aapke nazr-e-paigaam hain..
"Chhod na Yaar..Jaane De.."!!!

Wednesday, September 16, 2009

Pesha..

Tum lagate ho andaaza..
unki milkiyat-o-daulat ka...
Woh..Rozgaar ke liye "Niraj"
Hawayein bechte hain....

Wednesday, August 26, 2009

Aaj Shaam...

Kuwat-e-ishq ki haqeeqat...maan.ne lage hain...
Tere Jaane ke baad..Log mujhe jaan.ne lage hain....

Har Zarra zindagi ka..tere rang mein rang jaaye...
Hum to ab har lamha..yeh zid than.ne lage hain....

Koi khwahish-e-nagawaar ka aana..ab lazmi hi to hai...
Kuch Dino..se..woh meri..har baat maan.ne lage hain...


Kuwat: Strength
Lazmi: Obvious
nagawaar : non-viable

Thursday, August 13, 2009

Aur Ek Khayal...

Kya Karoge.."Niraj"...itaraa ke apne ..
jazba-e-mohabbat par...
Dost to bas.. kuch hi pal mein..
Sahuliyat bhool jaate hain...

Wednesday, August 5, 2009

A Reason.. To Die

Noor-e-Mahtaab ko...Ghuntt Ghuntt Pee Lete hain..
Kuch tum Jeene dete ho..Kuch Hum bhi Jee Lete Hain...

Hamare Chehre se..Tabiyat Ka ehsaas Nahi Nahi Hota...
Fate-Puraane Dil ko Apne... Roz sawere see lete hain....

Yeh Ajeeb Zulm-o-Sitam...Yeh Ajab ki Saudagari...
Sang Guzre Do pal ke liye..Woh saari Umr Le Lete Hain...

Kuch Yaadon ke Khumaar mein..Kuch tere Intezaar Mein..
Kuch Waqt-e-Bezaar mein..Hum Yun Hi Jee lete hain...

Kuch Khwabon Ki Chahatein..Kuch Ranj-o-Shikayatein...
Aur Jahan Ko Gumaan Hai... "Niraj" Khoob Likh lete hain...

Thursday, July 30, 2009

Haal-e-Dil

Aap Jab bhi Saath Saath Chale...
Palkon Pe naye naye khwab chale...

Jahan Ko Jab... Aftaab utare...
Aap Mein Koi..Mahtaab Chale...

Katl-e-adaa bhi khoob rahi..
muskuraye..aur karke aadaab chale...

Jab aapka zikr-e-shabaab chale...
Badan mein mere..ek rubaab chale...

Tere Saaye ko.. Paane ke liye...
Hum Umr-Bhar.. Behisaab chale...

Har Din Guzrein..meri..aanhon mein...
Har Shab..Daur-e-Sharaab chale...

Nigaah-e-yaar se..shaad ho gaye...
Ab chale jo bhi..azaab chale...

Ek Umr tumhare..sawaalon ki...
Ek raat bhar..ab jawaab chale...

Raah-e-Ishq pe.. rakhkar kadam...
Aap Banke..Jahan-e-arbaab chale...

In Lafz-O-Nazm ki duniya mein..
Hum Hote Roz.. Kharaab chale....


Aftaab : Sun
Mahtaab: Light of Moon
Rubaab : Pride
Shaad : Blessed
Azaab : Difficulties
Arbaab : Leader

Wednesday, July 22, 2009

Kashmakash..(A puzzle)

Apni Hasrat-e-Ishq mein...
Hum Haseen bhi..Beemaar bhi..
Kar lamhe mein hai..Zindagi..
Shariq bhi...shikaar bhi...

Ek Taufiq-e-khayal de...
Mujhko Aye Mere Khuda...
Us Khayal-o-raah mein...
Karaar Bhi..Khumaar bhi...

Hansein.. to hain..Gulzaar bhi..
Kabhi Bekhud hain..Bezaar bhi...
Chasm-e-raaz..kya hain ye...
Ikraar bhi... Inkaar bhi...

Roz likhte rahenge hum...
Wafaa-Shumaar Aayatein...
Kuch tumhare kaam ki..
Kuch to hain..Bekaar bhi...


(hasrat-e-ishq : Quest of Love
Shariq : Involved
Shikaar :Victim
Taufiq : Help
Karaar: Peace
Khumaar: Pleasurable Intoxication
Gulzaar : Garden of flowers
Bekhud : Unaware
Bezaar : displeased
Chasm-e-raaz : Mystery in the eyes
Wafaa-Shumaar : Ample Faith
Aayatein: Holy Prescripts)

Saturday, July 18, 2009

Hausla...

Kya rokegi..Suraj ki chaka-chhoundh unko...
Roz Sawere utthkar Niraj.. Chaand Dekhte hain...

Friday, July 17, 2009

Khwahishein..

Yeh Be-shumaar Khwahishein...
Yeh Be-karaar Khwahishein..
Yeh jaan Nisaar Khwahishein..
Sar Par sawaar Khwahishein..

Bad-Hawaas Khwahishein...
Kabhi Hoshiyaar Khwahishein..
Kabhi Kabhi to phool hain...
Kabhi tez Dhaar Khwahishein...

Hausla-e-Umr ka hai..
Ikhtiyaar Khwahishein...
Ek Haseen Khwab ka...
Hai Intezaar Khwahishein..

Sabhi Umeed-o-fakr hain..
Aakhirkaar Khwahishein...
Sabhi Zulm-o-Jeet ki..
Kusurwaar Khwahishein...

Ta-Umr Pashemaan hui...
Woh Sharmsaar Khwahishein..
Sabab Nashaad-o-Niraj Ka..
Teri Nagawaar Khwahishein...

Yeh Beshumaar khwahishein..
Sar Par sawaar khwahishein...

Tuesday, July 14, 2009

Talaash

Ek Nazar Jism-e-bejaan ki taraf...
Ek Kasar..ishq-o-armaan ki taraf...

Kuch tum kaho..Kuch hum kahein...
Ek Raasta...Manzil-e-ruhaan ki taraf...

Har Daastan..Kaabil-e-Guroor hai...
Har Ek Khwab..Aan-o-shaan ki taraf...

Unki bhi.. Hamein Bahut zaroorat hai...
Aaj Ek kadam aur badhein..Us jahan ki taraf...

Kya Ho bayaan..Daur-e-hijr ka junoon...
Har ek raat..Unke makaan ki taraf...

Phir unki aakhon se..ek jhalak hi churaani thi..
Phir jhuk gaya dil..Deedaye Ehsaan ki taraf...

Ek Hausla..Ek Justju..Dil-e-mehmaan ki taraf...
Do Jaam Aur chhalke..Fitrat-e-imaan ki taraf...


(ruhaan : Spiritual
Kaabil-e-guroor : Worth Pride
Daur-e-Hijr : Time of Separation
Justju : Search
Fitrat-e-imaan : Trait of Honesty)

Sunday, July 12, 2009

Teri Furqat.. (Separation)

Teri furqat ke woh naye naye din...Ab bhi Yaad hain mujhe...
Woh Baatein..Woh Raatein..Tere bin..Ab bhi yaad hain mujhe...

Yun hoti thi subah..lipat ke teri baahon mein..
Manzil-o-karobaar..tere khayal-o-raahon mein...
Woh zara zara si baat par..Woh palkein geeli hoti thi...
Shaam guzarti itraane mein..woh raat nasheeli hoti thi...
Har Din..inke Siwaa..Lagte.. barbaad hain mujhe...
Teri Furqat ke woh naye naye din..Ab bhi yaad hain mujhe...

Woh raat jo chalti rehti thi..Woh naye naye bahano se...
Ek daur jo behta rehta tha..tere adaa-o-aano se...
Simat ke rehte din the mere..Un simti parchhaiyon mein..
Har pal hi uljhe rehte the..waqt-e-shanaasaion mein...
Un Naadan si aankhon mein..Dua-o-aabaad hain mujhe...
Teri furqat ke woh naye naye din..Ab bhi yaad hain mujhe...

Tere Khwabon ka woh ek diyaa..Aankhon mein sajakar rakha hai..
Palkon par chhaale padte hain..Har raat jalakar rakha hai..
Jo hausle kuch thak se gaye..Ek lapat daudne lagti hai..
Tere Zulf ki andheri chadar ko..Dobara Odhane lagti hai..
Yun hi Sote-Jagte-Jeene ki..Aarzu-o-fariyaad hai mujhe...
Tere furqat ke woh naye naye din..ab bhi yaad hain mujhe...

Woh nayi nayi thi khwahishein..Woh nayi nayi thi ranjishein..
Woh naye naye the raaste..Woh nayi nayi thi koshishein...
woh zakhm-e-deed puraane the..tere deedaye zid ki tarah...
Mera rang-e-khun naya sa tha..Woh nayi nayi si raahatein..
Ab kaun si hai chahtein "Niraj"...Umr aazaad hai tujhe...
Teri Furqat ke woh naye naye din..ab bhi yaad hai mujhe...

Woh Baatein..Woh Raatein..Tere bin..Ab bhi yaad hain mujhe...

Friday, July 3, 2009

Tanz (Irony)

Main Ishq ki.. Tabiyat.. pe..hairaan hota hun...
Tum meherbaan hote ho.. to main.. pareshaan hota hun...

Aaj yaad aa raha hai.. Un Ungliyon ka Junoon...
Ta-Umr Gumraah.. Par Silsila-e-Sukun...
Ho Bandhe mere haathon mein..to jaan aati hai..
Baalon mein unki jumbish se main..Bejaan hota hun..

(Ta-Umr : All life ,jumbish : movement )

Us asim Chasm-e-dariya mein.. behte rahein hain hum.
Wohi Suni-Sunayi Baatein..Kehte rahein hain hum...
Yeh Dillagi Teri.. Ashqon si.. mushqil hi sahi...
Main to bas.. muskura ke.. aasan hota hun...

(chasm-e-dariya:Sea in the eyes , Ashq : Tears)

Be-mausam hi "Niraj" Khil Jaate hain..
Jab bhi woh tumse.. Mil Jaate hain..
Shama-e-Deed Jalti hai..Raat bhar kahin mujh mein.
Main Roz Saher..Kisi.. Khwab ka Dhuan hota hun...

(Shama-e-Deed:Flame of the meeting , Saher : Morning )

Main Ishq ki..Tabiyat pe.. hairaan hota hun..
Umr badhte jaati hai..Main aur jawaan hota hun..

Tuesday, June 30, 2009

A Wish...

Raho Kaayam Jahan-bhar..Hawa-o-Aasman ki Tarah...
Kaam kuch aisa .. Kar jao na mere liye...
Kal Phir Saher to hogi..Kehte hain woh mujhe..
Ek Hausla Aur.."Niraj"..Kar jao na mere liye..<

Saturday, June 27, 2009

Subtly Said...

Tumne Mere Waqt ke..Maayne Badal Diye..
Mere Do Pal ko.. Ek Umr Bana Diya...
Maine to maangi thi..Do khwabon ki zindagi..
Tumne..Mere Khwabon ko..Kya-Kya Bana Diya...

Friday, June 26, 2009

Aur Ek Khayal..

Dil par kuch..mayll si jami thi...
Shayad Sharab Se... utar Jayegi...
Hai Jahan ko bhui..Kuch Aisa hi Bharam...
Zamaane kharaab se sanwar jayegi...

Rakhhi hai maine teri..tamannaein..saabut..
Ek meri Umr..to Basar Jayegi..!!
Aur Na hongi Nakaam...Koi chahat Meri..
Teri Har Raat..Mere khwabon se bhar jayegi..

Yun Ghul gayein hain tujhme..tamaam raahtein meri..
Tu bhi kisi din..yun mujhme..utar jayegi...
Is aah ko dua hai..Ek musalssal Sukun...
Dekhna..Kis Kadar..Yeh Asar Jayegi...

Yun Barasti rahe..koi raaz-e-visaal...
yun hi yeh raat bhi..fisal jayegi...
Jaise badli hai..har rut..yeh mohabbat...
Tu bhi kisi rut..Badal Jayegi...

Sunday, May 31, 2009

A Thought

Tamaam mere sawaalon ka..
Bas Hanskar..Jawab de gaye..
Khwahishon mein apni uljha ke mujhe..
Mere Saare khwab le gaye...

Ye kaisa Sauda..Kahan ki Wafa..
Ke hum rat-te rahein..Bayaan-e-Sukhan..
Aur Woh Mod ke ek panne ka siraa..
Meri Zist-e-Kitaab Le gaye...


Zist-e-kitaab : Book of Life

Sunday, May 10, 2009

Woh...

Kya Marz tha..Kya Ho gaya..
Woh Kyun Is Umr Mein So gaya...
Bas Mangta Raha woh ishq mein..
Woh Karz mein Shaheed ho gaya...

Na kar koi Tarq-e-wafa..
Dekh ke un nazaron mein ret...
Kya Jaanon tum..ke Sadiyon mein..
Woh kitne saawan ro gaya...

Jo chali Us par..Koi Teer-e-nazar..
Woh hans ke ghayal ho gaya...
Woh Jaanta tha..har shab ki Jalan..
Woh shaam se badal ho gaya...

Kya Lutf tha..Kya Daur tha..
Woh Samundaron ko pee gaya gaya..
Kya Lutf hai..Kya Daur hai..
Ek Katra Usse Duboo gaya...

Jo Bayaan..is kadar haseen...Niraj
Woh Tum pe guzra kis tarah hoga..
Kya Likhte ho tum..Firaaq-e-Sukhan..
Har Masla hi mureed ho gaya...


Tarq-e-Wafa : Argument in Love
Firaaq-e-Sukhan: Happiness/Peace in Separation
Mureed : Fan

Saturday, May 9, 2009

Keemat

Kuch Keemat laga lete..
Apne Deewangi ki "Niraj"..
Kyun Har lamha..
Muft mein bika karte ho...

Hai Dua tumhe.. roz..
fanaa hone ki to kyon..
Kya Aarzu-o-talaash hai..
Jo roz jiya karte ho...

Wednesday, May 6, 2009

Kuch Sawaal...

Maine Suna hai..
Khuda maante ho mujhe...
Kyun aise dekhte ho..
Jaise Jaante ho mujhe...??

Wafaa-o-gumaan-o-imaan se...
Rahein Kadam tere jawaan...
Rakho Khwahishein jawaan...
Kyun Maangte ho mujhe...??

Minnat-o-bagawatein..
luft-o-inayaatein...
itni jo chahtein teri..
Kyun Chahte ho mujhe...??

Jo Keh Uttha Sharaab...
Laga lo shart baazi-e-suroor ka...
Jo itraate ho yun "Niraj"..
To kyun Maangte ho mujhe...???

Kuch Kami...

Aur bhi Hain..Jahaan mein Ranjishein...
Is dil ko jalane ke liye...
Is raat ke taaron ki.. khalish mein..
Kuch Kami si hai...


Reshami Ek Ehsaas ki..
Talaash hai ab har ghadi..
Waqt kuch rukaa sa hai..
kuch Saans bhi thami si hai...

Sehlaata raha..raat bhar..
Main Ek zakhm-e-fareb ko..
Mawaad kuch bhara sa hai..
Us Ghaav mein nami si hai...

Kahin Kho gaye to kaun hai..
Jo hausla-e-raah de..
Ek dhund hai raah-e-ishq mein...
Kuch Barf si jami si hai...

Ho Shaks tum Jaise "Niraj"
To kyun aarzu-o-malaal ho..
Har sheh hi Khushgawaar hai..
Tum mein kuch kami si hai...

Wednesday, April 29, 2009

A Change...

Phir Chal pade..Usi rehguzar..
Sang Ehtiyaat-o-Adab..
Kyun Manzilein nayee si hain...
Aaj Raasta naya sa hai..

(Ehtiyaat-o-Adab : Precaution and Respect)

Zindagi hai jhujhti..
Do khwahishon ke darmayaan..
Ke aarzu nayi si hai..
Ye Imtehaan naya sa hai...


Hain Khushi mein teri simte..
Mere jahan ke walwale..
Ye Zindagi nayi si hai..
Ye Falsafaa..nayaa sa hai...

(Walwale : Enthusiasm) (Falsafaa : Philosophy)

Jo Boondon Mein Sailab hon..
To samundaron ka zikr kya..
Ye aatishein Nayee si hain..
Ye Zalzala naya sa hai...


(Zalzala : Earthquake)

Pee gayeen..khwabon ko mere..
jhhuk ke nazarein mai-fishaan..
Ye Aashiqui Nayee si hai..
Deedar-e-gham naya sa hai...


Hijr ki raaton se pehle..
woh lagta hum-zubaan sa tha..
Ab roz nayee si silwatein..
Woh har shab ab naya sa hai...


Rok kar mujhe jo kaha..
Ke Ab tum chale jao..
Ye naye naye se shauq hain..
Ye silsila naya sa hai...


Kyon muskuraate hain..har..
Waqt-o-haalat yun "Niraj"..
Shayar naye naye se hain..
Kuch Dard bhi Naya sa hai...

A Regret

Jis gali mein.. hum ne..
hamara..sab kuch lutaa diyaa..
Us gali ne..raunda hai mujhe..
"saariq" samajh kar...

(saariq : A thief)

Saturday, April 18, 2009

Phir Ek Khayal..

Aaj Chahta hai Dil.. Sagar-o-mahtaab...

Aaj Maikash-e-Dil.. Beemaar Zara Kam Hai

Aye Khuda..Ab koi Toofan..to mehka..

Chilman ke paar deedar zara kam hai..

Tum bhi to the.. Us Ishq mein shariq..

Ek mera dil.. Gunahgaar zara kam hai..

Aaj bhi hai guroor.. meri saanson ko zara...

Zillat-e-ishq se sharmsaar... zara kam hai..

Kyun Karte ho.. Jeetne ki koshishien mujhse..

Maine to keh diya.. Tera pyaar.. zara kam hai...

Kab maine kiya inkaar..tere aitbaar par...

Bas taqdeer pe mere.. aitbaar..zara kam hai..

Naqsh teri aankhon ka nehla gaya mujhe..

Subah se jism.. be-zaar..zara kam hai..

Aate hi maikade mein "niraj"...Saaki jo poochh baitha..

kab tak rahoge aaj..aaj..sharaab..zara kam hai..


Thursday, April 16, 2009

Second Attempt

Kab Tak Pyaar Karenge..Jaana..
Kehte hain mujhe.."Confirm Nahin"
Yeh Proprietory "Dil" hai kaha..
Yeh koi "Partnership Firm" Nahin...

Kaha..Jo "Loss" Hua to band karenge..
Tankhwah..tumhari.. kuch kam karenge..
Jo Aaj base ho muft.. khaana-e-dil mein..
Kal uska "Rent" .. wasul hum karenge..

Ek Dua

Aaj tujhe,.. Rakh dil pe patthar..
Kehta Hun 'Khuda'.. Aye Saudagar..
Hai Zindagi.. Tu pyaar jo kar..
Ho Bandagi.. Jo Pyaar na kar..

Yun Kar Khuda, Ho Rahe Taaqat..
Har Dum..Har Pal..Ta-Umr-E-Safar..
Aankh khule.. to Tera dar..
Raat Chale... to Tera dar..

Ho Tera Sajda.. Shaam-o-Saher..
Tu Bhi Barsa.. Koi Lutf-o-meher..
Hone de fanaa.. dar par apne..
Tu Bando.. se inkaar na kar..

Hum Bhi Likh denge.. kuch nazmein..
Jaan..Hai Jab tak.. Apne Dum mein..
Bas Itna Kar de..Tu ek Karam..
Koshishein koi.. Bekaar na kar..

Ada par rakh.. tu apne bharam..
Par phir koi Umeedwaar na kar..
Jo Dar se utha.. Tere "Niraj"
kabhi Phir koi...Sartaaj na kar...




Monday, April 13, 2009

Chand Nazmein -3

Hanske.. Mujhse.. Ek Baari..
Wo Poochh hi baithe..
Sabab..Meri Maikashi ka...
Khurd Jabaan Se..Maine bhi Keh Diya..
" Kehte Hain.. Rozana Warjish Se.. Tabiyat Chust Rehti hai "

Chand Nazmein - 2

Kya Pata "Niraj" Roz Raat Bhar..
Apne Dil Ko kya Samjhate Hain..
Aankh Khulte Hi.. Pehne Rangeen Chashma..
Suraj Ko Aankh Dikhaate Hain..

Dast-e-Taqdeer (Hand Of Fate)

Ek Khilkhilati Shaam Ko Dekh..
Yakaayak Jee Machal Utthaa..
Tamannayen.. Phir Mehak utthi..
Ranj-e-dil.. Behak Uttha...

Ek Haseen "Saza" Ho tum..
Har Roz Saher.. Tum Kehte hi to the..
Un Khwabon mein ghire.. lipte..
Yun Hi... hum rehte hi to the..

Ek Tamaacha..Betahaash...Dast-e-Taqdeer ne Kasa..
Poochha.."kyun hai.." Jo Hai.. Teri Aankhon mein Basa"
"Yun Na behko"..Kaha.."tumhe ab koi na Raza hogi" (Raza : Hope)
Aaj Phir Tumhe "Niraj"
Ek Raat Ki "Saza" Hogi...

Chand Nazmein...

Hai Kahin Naam Nahi.. Tumhara..Ishq Naumayi mein..
Sang jo mere hote.. Apna Bhi naam kar jaate..

Kaun Kehta Hai.. Hichkiyaan Hain.. Kisi yaad ka sabab..
Yun agar hota.. To Tum "Hichkiyon" Se mar Jaate...

Hai Ishq Bada Mushqil.. Main na Kehta tha tumhe..??
Khote Talab-e-Ishq Mein Raahi.. Yun Manzilon Mein na Tar jaate..

Monday, April 6, 2009

Ghar (An Attempt)

Dagmagaate Hue Kadam Jo badhe..
Mere Aashiyaane.. Ki Ore..
Darwaza.. Hansa..Betahaash..
Andar.. Kahkahon ka Shor..

Deewarein Thahake.. Lagati..
Hain Khidkiyaan Kamzor..
Farsh.. Ugalta.. angaar..
Tammanaon Ka Munh Chor..

Dabhochti Tanhaiyaan...
Cheenkhti Khamoshiyaan,..
Kabhi...Teergi.. hain chaadarein..
Kabhi Sannatta Ghanghor..

Nukile Kone hain..jaise bane..
Shikast-e-Umeed.. ka sabab..
Hun Kasmasata..bebas..khali..
Kaho.. Jaoon Kis Ore..

Maza hai tab aata..mujhe...jab..
lage keemat.. sulagte..is bhanvar ki..
3500 Rs... Per Square Feet..
Aur 20 Rs.. per Floor..

Saturday, March 14, 2009

Kuch Der

Kuch Der aur theher Jao...

Mere Aashiyane mein..

Ke Kisi Koshe mein...

Viraani Abhi Baaki Hai...


Monday, March 2, 2009

Kyun..

Bhala Hai Shaher Yahi... Aur kuch to bhale ho Aap...
Hai Bichhi ruhaniyaat.. Jis Ore bhi Chale ho Aap...

Eitbaar..Ishq...Mannat-o-Gumaan...
Kuch to rang-e-Kismat Rahi... Kuch Aap hi Dhale ho aap..

Hai Bulbula Kuch Waqt Ka... Kehte hain Zindagi Jise..
Kuch to Humne De diya.. Kuch to le chale ho aap...

Na Jaante Kisi Shakhs ko...Na Hote hum Mashhoor..hi..
Kyun Kee Khuda-ya-Roshni... Kyun Raat Din Jale Ho Aap...

Sukun.. (?)

Aaj Phir Ek Tamanna Hai.. Dil ke sulagte Angaroon ki..
Aaj Baras Jao Mujhpar…Ke mujhe Sukun Mile…

Baha do mere badan se…Sabhi be-haya nakabon ko..
Aaj Mujh mein Utar Jao... Ke Mujhe Sukun Mile...

Mujh Mein Hi Jal Jao.. Bujh Jao Mujhi Mein...
Seene mein Dhuan Kar do... Ke Mujhe Sukun Mile...

Yun Bas jao meri ragon mein..Ke Beh Jao Badan Bhar
Meri Ruh Mein Bas Jao .. Ke Mujhe Sukun Mile...

Tumhe jee jaon.. Tumhe pee Jaon..Kho Jaon Tumhi Mein..
Tum Saason mein So jao.. Ke Mujhe Sukun Mile...

Koi Abr se tut kar... Kisi Badal se chhoot kar..
Main Tum mein zameen paon.. Ke Mujhe Sukun Mile...

Kuch Is Tarah

Kuch is tarah hi tum mere khayalon mein jiya karte ho..

ek taaza ehsas ka khayal,
koi betuka sa sawal,
ta-umr mehkti tazgi,
ek bekarar zindagi..

behisab hi nazron mein bekhayali diya karte ho..
kuch is tarah hi tum mere khayalon mein jiya karte ho..

koi sehmi deewangi,
ek lajjate awaargi,
koi hasrat-o-hararat,
koi meethi si shararat,

mere lamho,meri sanson ko apna kiye karte ho..
kuch is tarah hi tum mere khayalon mein jiya karte ho..

Taaqat (On 26/11/08)

Jahan Bhar hai Udham-Shor…
In Saanson ka Imaan Kahan Badalta hai…
Chand Patakhon Ki Khaak Se...
Mera Hindustan Kahan Badalta hai...

Hain Behad Khuda Mere Yahan...
Aarzu-o-dua ek si hai…
Hawayein berukhi ho jayein to kya…
Zameen-o-aasman kahan badalta hai…

Ho Gar naaraz to main tumhara hun..
Hain Ibadatein-nasaaz to main tumhara hun..
Tum Bashak Badalo Armaan-oYakein.
Mera Lehza-o-zubaan kahan badalta hai..

Mujh par hain tere kabr-o-paidayish..
Mujh par hi tere jalwon ki aazmayish..
Tu fida-o-fanaa mujh par hi to hai..
Mere Sabr-o-imtehan kahan badalta hai…

Le Aao Osama-o-Parvez Hazaar..
Bulao Afzal-o-Ajmal Beshumar…
Main Hun Saboot … Ghalib-o-Mir Ki tarah…
Mere Yusuf-o-Momin Khan …Kahan badalta hai…

Mujh Bin

Mujh bin jee sako to kaho...
ye Kahani Jee sako to kaho...

Main na kehta tha mushkil hoga..
thoda dilkash thoda bujhdil hoga...
In chakhton ko see sako to kaho..
Ya..Mujh bin jee sako to kaho...

Surkh mere hothon par jabaani koi aur..
Meri aankhon mein shayad nishaani koi aur..
Ba-wafa In aankhon mein raho to kaho...
Ya..Mujh Bin jee sako to kaho..

Bekaraar , Tamanna bhi tum Sang..
Tum bin har tamanna berang..
Mere rangon ko pee sako to kaho..
Ya..Mujh bin jee sako to kaho...

Meri zaroorat nagavaari hi sahi...
Ek mussalsal bemaari hi sahi...
Mujhe baahon mein bhar sako to kaho...
Ya..Mujh bin jee sako to kaho..

Is aawargi ko aankhon mein chhupa lo..
Is deewangi ko Saanson mein basa lo..
In mein Jee sako to kaho...
Ya..Mujh bin Jee sako to kaho..

Khayal (Daaton ki Kichkichi)

Hun Sang-e-Lakir Jigar mein…
Itna to hunar rakhte hain...
Dekhein Had-e-Hunar aapka…
Hum Bhi Jigar Rakhte Hain...

Dono Yakeenon mein …
Waqt ki Sunwayee...
Tum Bhi Maloom Rehna…
Kuch Hum bhi Khabar rakhte hain…

Kehte hain.. dono Milein...
To Pure hote hain…
Tum Din Jage rehna…
Hum Shab jage rehte hain…

Hai Baat dono dilon ki..
Khamoshi Guzarish hai…
Tum behlao dhadkanon ko..
Kuch hum bhi chup rehte hain…

Kya maza hai ajab ...
Jo khwahishen juda rakhte hain..
Tum khoke sukun rakhte ho..
Hum khoke junoon rakhte hain...

Hai na kuch mushqil tumhe..
Na hai aasaan khatir mere..
Dekhein.. Jo tum suroor rakhte ho..
To hum bhi Fitur rakhte hain...

Kaam

Saare Zakm-o-ranj Tamaam Ho Jayenge…
Ek Lambi Saans Lo.. Saare Kaam Ho Jayenge...

Kyon Bedam Shakl-o-Hausla hai Humdum…
Aao Saath Jaam Lo.. Saare Kaam Ho Jayenge...

Kya Hirs hai.. Kyun Hai nazarein Na-umeed betalab...
Nigah-e-maazi-e-aaram lo.. saare kaam ho Jayenge..

Hai Sarfaraz Muqaddar Khatir Tere...
Kuch Dua-o-Ehsaan lo... Saare Kaam ho Jayenge..

Kehte hain Umr-Kaabil Muqaddas nahi bina Ishq...
Tum ek jaan inaam lo... Saare kaam ho Jayenge...

Hai Zameen-o-Aasman Tumhare Niraj...
Tum Roz mera naam lo... Saare Kaam Ho Jayenge...

Katra

Kya wajud hai…
Ek Katra hi to hun…

Hun jo gira… parastish-e-mohabbat..
Ke maathe se… shikan ban ke…

Kisi palkon mein ghire… khurdare…
Armanoon ka kafan ban ke...

Ya hun lipta... saahilon se...
Kisi Tabahi… ka.. sukhan ban ke…

Kya wajud hai…
Ek katra hi to hun…

Saturday, February 28, 2009

Ishq

Khwabon Ke Samundar mein… Moti Khwahishon ke bote….
Gar Hota ishq aasan... To hum bhi Amir hote..

Tum Bhi Rehte Khush Tabiyat.. Aur Khush Naseeb Hote...
Zara Humein bhi chain hota... Tum bhi Sukun Se sote...

Na cheenkhti ye waadiyan.. Na hawaon mein junoon hota...
Na rakhte ye mujhse tallukh... Na ye gumaan mein hote...

Tum bhi Befikr hi hote... Sawaal Adaon par na hota...
Na zulfein Ghata hoteen... Na Nazarein Zubaan Hote...

Woh Jo Hai.. Raasta.. Nazaron se dil ki Jaanib...
Saans hi na chadhti.. Jo Raaste par na hote..

Khair... Wo jo Lutf hota.. Sukun Beshumar rehta...
Jo Sukhna-e-Ishq Hota... To hum bhi Fakir Hote...

Gaur Ho.. Kehte the wo.. Tum Jaan.. Jaane-jaan Zindagi Ho...
Na Chadhta Kafan Ishq Ka... Tum Bhi Niraj Na Hote...

Friday, February 27, 2009

Khayal1

Main Teri Reh-Guzar mein..
Kuch Kaam Aisa kar gaya...
Umr Kabr mein Dab gayee...
Main Kambakht Jeeta gaya...

Kareeb

Ho Reh Jaatien...
Gunjaishen.. Kisi Aur sheh ki ..
Darmayaan Apne.. Jo Tum ho mere Kareeb... Kisi Had..
Jo Na ho tum..
To baste ho mujh mein...
Mere aur Kareeb hote ho.....