Search This Blog

Thursday, July 22, 2010

Please Maa...

Nasha hai kuch mujkho aaj..Mujhko ab guroor hai...
Tu ab apne aitbaaron ko..in mein shumaar na kar...

Jung-o-malaal-e-zindagi...se mujhko baat karne de...
Tu taaqaton se apni.. Ab mujko kam-khwaar na kar...

Hataa de apne aanchal ko..mujhe dhoop mein behne de...
Khush mere zist-o-jaan ke liye..tu khatm apne karaar na kar...

Mehfilein jeete bahot..Mujhe... tanhaaiyon se ladne de...
Apne aaj ishaaron se..tu...mujhko hoshiyaar na kar...

Ek baar to bas mujhko.. Uthne de mere dum se...
Meri baazu'on ki koshish ko..is baar bekaar na kar...

Kai saal tak maine... tujhe chain se sone na diya..
So jaa..Ab apni raatein.. Meri khatir bezaar na kar...

Itna to ab yakeen rakh ..Mujhe rootiyaan milengi.. Maa..
Tu ab meri fiqr na kar... Tu Ab...Aur ..Intezaar na kar..

Expressions

Tum the to mujhko Jaan..kya..kya..na karna tha...
Zara sa is dil mein kuch..yakeen hua karta tha...
Tum the to raat bhar...gungunaati thi baatein..
Masroof neend waalon ko..ranj bhi hua karta tha...
Adaaon mein rubaab tha..chaal bhi kuch alag si thi...
Tum the to apni zaat par..Ek gumaan sa rehta tha..
Tum the to har ek saans mein..ek zindagi hua karti thi...
Har ek pal guzra hua... Ek kalaam sa hi lagta tha...

Ab woh pal guzar to gaye...nazmein unki jaari hain...
Zindagi to jeeta hun..par saansein bahut bhaari hain..
Gumaan hai.. hawa mein beh raha..zaat ka pata nahin..
Adaayein kahin to chupp gayi.. Chaal..sharm saari hai.
Hanste hain neend waale..ab raaton ko utth utth kar...
Mere khuluus ki woh baatein..ab mousiki ki maari hai..
In yakeen ki baaton par..ab koi yakeen na karta hai...
Dekho na aye ..mere jaan..Maine kya kya kar guzaari hai..