Search This Blog

Monday, March 2, 2009

Sukun.. (?)

Aaj Phir Ek Tamanna Hai.. Dil ke sulagte Angaroon ki..
Aaj Baras Jao Mujhpar…Ke mujhe Sukun Mile…

Baha do mere badan se…Sabhi be-haya nakabon ko..
Aaj Mujh mein Utar Jao... Ke Mujhe Sukun Mile...

Mujh Mein Hi Jal Jao.. Bujh Jao Mujhi Mein...
Seene mein Dhuan Kar do... Ke Mujhe Sukun Mile...

Yun Bas jao meri ragon mein..Ke Beh Jao Badan Bhar
Meri Ruh Mein Bas Jao .. Ke Mujhe Sukun Mile...

Tumhe jee jaon.. Tumhe pee Jaon..Kho Jaon Tumhi Mein..
Tum Saason mein So jao.. Ke Mujhe Sukun Mile...

Koi Abr se tut kar... Kisi Badal se chhoot kar..
Main Tum mein zameen paon.. Ke Mujhe Sukun Mile...

5 comments:

  1. 'Sabhi be-haya nakab' was a nice touch. Probably the 1st time I've come across irony in your verses.
    (chote muh badi baat, my urdu is only average - but not sure if 'Koi Abr se tut kar' is correct grammar)

    ReplyDelete
  2. Tammana aur sukun dariya ke do kinare hai
    dono ke beech aapas me kai batware hai
    pahli mile to bahoot aage tak jayenge
    par duji mili to peechhe rahkar bhi sukun payenge

    ReplyDelete
  3. hi niraj, how r u.
    do u remember tune devrukh me ek shayari sunayi thi cigarette ke upar
    "mai aur wo aisehi kahi baithe the, mai bhi jala raha tha wo bhi jal rahi thi....."
    aisehi kuch sunaya tha, yaar wo add kar isme ho sake to.
    Prashant Jadhav

    ReplyDelete
  4. kya baat hai neerajji,
    kya badhiya khayalat hain?
    aur andazbhi naya nayasa.
    Mujh Mein Hi Jal Jao.. Bujh Jao Mujhi Mein...
    Seene mein Dhuan Kar do... Ke Mujhe Sukun Mile...

    Yun Bas jao meri ragon mein..Ke Beh Jao Badan Bhar
    Meri Ruh Mein Bas Jao .. Ke Mujhe Sukun Mile...

    kya soch hai/GREATTTTTTTT

    ReplyDelete
  5. wow nirajji,
    what a style you have.
    andaz aapka bada hi pyaara hai.
    bilkul nayapan lagata hai.
    i loved this writig very much.

    ReplyDelete