Search This Blog

Wednesday, December 30, 2009

Images..

Tere Ishq mein aye Jaan-e-Jaan...
Itni Shiddatein rahin...
Mere Khwabon ke katre katre...
Bade Haseen se Lagte the...

Aisa Kyun Kiya..waisa kyun nahin..
Tumne Us waqt Mujhe..Dekha Kyun nahin...
Uske Lafzon...mein woh Shikwe..
Bade Haseen se lagte the...

Mehfilon mein tere Jalwe..
Fursaton mein teri yaad...
Tere Charche Zameen-o-baam par...
Bade Haseen se lagte the...

Gard Gard Ho Gayi hai Shakl...
Raah-e-Ishq ki Khaak mein...
Jab chale the ghar se "Niraj"..
Bade Haseen se lagte the...


Shiddat : Devotion
baam : Sky
Gard,Khaak : Dust

Saturday, December 19, 2009

Ab...!!

Ishq-e-waada nibaah ka..jazbaa unhe hai ab...
Mere Mijaaz-e-dil ki parwaah....unhe hai ab..

Mujhse baat karne ki..zaroorat hi kya rahi...
Mere Haal-o-Chaal ka..pataa unhe hai ab...

Ab to itaraa rahe hain..unke zulm-o-karam sabhi..
Sahme Sahme..Khuda ki..Razaa unhe hai ab...

Ek Daur ki jubaan hai..Ek Umr Ka Bayaan hai..
Apne shauq-e-Husn ka..Rutbaa unhe hai ab..

Mujhe Saamne ko Paakar..Jo chupp woh kahin rahe..
Unke Gurror-e-had ki...intehaan unhe hai ab...

Un Raaston ki Mehfilein..Un Faaslon ke kaarwan..
Us Sukoon-e-Justju ka...Armaan unhe hai ab...

Suroor-e-lafz "Niraj"..Ab tum mein Na raha...
Rang-e-Aashiqui ko..Duniya unhe hai ab...


nibaah : Fulfillment
jazbaa : feeling
razaa : Agreement,Wish
Rutbaa: Pride,Glory

Friday, December 18, 2009

Karz...

Roz Sawera Hote hi...
Ek Noor Chamakne Lagta hai...
Rozgaar ki Rehguzar mein...
Zehan bhatakne lagta hai...
Aarzu.on ki Dopahar tak...
Pasina Tapakne lagta hai...
Pareshaniyon ki shaam ho..
To badan dehakne lagta hai..
Teri Yaadon ki raat mein...
Zameen behakne lagti hai...
Ek nashile Kagaz par..
Mera Lafz chahekne lagta hai..

Yun Guzarte hain..mere din..
Mere Maah...Mere Saal..
Roz Ek Karz Ka Tamaasha..
Roz Ek Sood ka Bawaal...

Jaise Doobe hain..mere ashq..mere nabz...
mere Jism-o-rooh...mere ranj-o-sawaal...
Jaise rakkhe ho.n Girwi...kadamon mein tere...
Mere shaam-o-Saher...Mere khwab-o-khayal...

Thursday, December 10, 2009

Yun to Hota Hi Rahega....

Yun to hota hi rahega...
Yeh Kisse Kuch Ajeeb nahin...
Ittefaqan tumse mulaqaat ho...
Aise to apne naseeb nahin...

Is fan ki maharat milne ko...
junoon-o-riyaazat hona hai...
Hanske Taqdeeron se khelein...
Aise to hum bhi..areeb nahin...

Kuch hongi na-gawaar yakeenan..
Aur Kuch Be-Baak bhi Hongi hi...
Aarzuein hamari be-gairat nahin...
Aur kuch bhi ho.n....Gareeb nahin...

Zindagi aur tum mein.. bahas...
Wajeeb-o-laazmi hi to hai...
Mujhe Ek hamesha kheenche hai...
Aur tum uske kareeb nahin...


Ittefaqan : Accidently
riyaazat : Practice
mahaarat : Expertise
areeb : Skillful
wajeeb : justified
laazmi : Obvious

Thursday, December 3, 2009

An Obituary...

Woh Ishq tha..khumaar tha...
Har waqt mein shumaar tha...
Woh Mehfil-e-Jaanfishaan...
Har Ruh ka Qaraar tha....

Woh har pal ek sukuun tha..
Mere Lafzon ka Junoon tha...
Woh Mera ek suroor tha..
Meri Bazm ka guroor tha...

woh badaa-o-sharaab tha...
woh noor-e-mahtaab tha..
Meri Chaal ka rubaab tha..
Meri Umr ka Hisaab tha..

Shararaton ka aashiyaan..
Shikayatein Be-panaah...
Baatein Faqr mein lipti huin..
Woh Har Tanz ka Jawaab tha...

Fiqrein masoom si woh...
Nigaah Aatishaan si thi...
Woh Chup to har khuda sa tha..
Har zubaan hi ek dua si thi..

Woh Jab bhi Roobaru hua..
Ek Silsila shuru hua..
Woh kahin to ek aarzu bhi thi..
Imaan-o-Justju bhi tha...

Meri neend ka ahd-o-jaam tha...
Woh Chain tha..Aaraam tha...
Ghhula tha..yun meri zaat mein...
Woh mera har kalaam tha...

Woh hai mukkammal kisi chaand ki tarah..
Maine Umeed-o-Wafaa raazi rakh liya...
Aaj Maine "Niraj" Ek kharaabi kar li...
Tera Naam badalkar.."Maazi" rakh liya...


Khumaar : Nasha
Zaat : Personality
Bazm : World
mehfil-e-Jaan-Fishaan : life of a party
Justju : Search
Maazi : Past
Noor : Light
Mukkammal : Complete
Mahtaab : Moon

Falsafaa...

Ek paak ibaadat hoti hai...
Suroor-e-Shikayat hota hai...
Kuch Ho Na ho..is duniya mein..
Yeh Ishq.. Qayamat hota hai...