Search This Blog

Sunday, May 10, 2009

Woh...

Kya Marz tha..Kya Ho gaya..
Woh Kyun Is Umr Mein So gaya...
Bas Mangta Raha woh ishq mein..
Woh Karz mein Shaheed ho gaya...

Na kar koi Tarq-e-wafa..
Dekh ke un nazaron mein ret...
Kya Jaanon tum..ke Sadiyon mein..
Woh kitne saawan ro gaya...

Jo chali Us par..Koi Teer-e-nazar..
Woh hans ke ghayal ho gaya...
Woh Jaanta tha..har shab ki Jalan..
Woh shaam se badal ho gaya...

Kya Lutf tha..Kya Daur tha..
Woh Samundaron ko pee gaya gaya..
Kya Lutf hai..Kya Daur hai..
Ek Katra Usse Duboo gaya...

Jo Bayaan..is kadar haseen...Niraj
Woh Tum pe guzra kis tarah hoga..
Kya Likhte ho tum..Firaaq-e-Sukhan..
Har Masla hi mureed ho gaya...


Tarq-e-Wafa : Argument in Love
Firaaq-e-Sukhan: Happiness/Peace in Separation
Mureed : Fan

2 comments:

  1. Wo reet aur sawan ka combination achha laga !
    par suruwat logo se hui aur khatam hote hote khud pe aa gaya ? kyoun ?

    ReplyDelete
  2. It started with talking about one person.. and continued describing his greatness and plight..

    ReplyDelete