Search This Blog

Thursday, November 10, 2011

Heedless..!!!

Humne badi sahuliyat se..is rasm ka gumaan rakhha hai...
Ab Woh mujhse nahi poochta...main usse nahi poochta...

Bas keh diya ke kaam mein...aaj kal masroof hun...
Ghar kab tak aaoge...ab to koi nahi poochta...

Parwaane machalte rehte hain...shama ke ird gird...
Kya kua...kyun ho gaya barbaad...nahi poochta...

Tarq-e-mijaaz kar lena...gar main nashe mein hun...
Utthkar khada hua...to main hisaab nahi poochta...

Bhool baitha hun saare, adab peshi ke nuskhe...
Main kisi se ab zyada...sawaal nahi poochta...

Log is be-khayali ko...mohabbat ka naam dete hain...
Main apni dhun mein rehta hun...kisi ka haal nahi poochta...

Itna sasta ho gaya hun...ke muskaan pe bikhar jaaun...
Main kya hun...yeh ..mujhse..main bhi nahi poochta...

Tuesday, November 1, 2011

Destitution..!!!

Is kehkashaan ki raat mein...sukhan khali khali...
Bahaar-e-guftgu mein...chaman khali khali...

Jaate jaate kabr mein...koi rang to sanwaar lo...
Rangeen mijaaz ruuh pe...kafan khali khali...

Fitratein bayaan hoti hain...aadmi ke lafzon se...
Khali khali ghazalon mein...wazan khali khali...

Sunaa hai mohabbat mein...kuch aisa haal hota hai..
Waqt-o-dam...dil-o-dimaag...badan khali khali...

chadhte chadhte baam par...suroor jaise rok lo...
Kuch Khayaal behke behke...shikan khali khali...

Main kyun. Aisi ghazal ka koi makhta likhun...
Imtehaan ek pyaas ka...aur sitam khali khali....


Khali khali jazbe hain..armaan khali khali...
Saada meri bandgi ka...nigehbaan khali khali...

Neele neele rangon mein....aasmaan khali khali...
Samundar ki lehron mein...parwaaan khali khali...

Kuch aata hai zubaan par...bashar kahli khali...
Yeh Khali khali raaste....shaher khali khali....

Jaise sehra ki zameen pe....shazar khali khali...
Jaise Nigaah gehri gehri hai....nazar khali khali...