Search This Blog

Wednesday, April 29, 2009

A Change...

Phir Chal pade..Usi rehguzar..
Sang Ehtiyaat-o-Adab..
Kyun Manzilein nayee si hain...
Aaj Raasta naya sa hai..

(Ehtiyaat-o-Adab : Precaution and Respect)

Zindagi hai jhujhti..
Do khwahishon ke darmayaan..
Ke aarzu nayi si hai..
Ye Imtehaan naya sa hai...


Hain Khushi mein teri simte..
Mere jahan ke walwale..
Ye Zindagi nayi si hai..
Ye Falsafaa..nayaa sa hai...

(Walwale : Enthusiasm) (Falsafaa : Philosophy)

Jo Boondon Mein Sailab hon..
To samundaron ka zikr kya..
Ye aatishein Nayee si hain..
Ye Zalzala naya sa hai...


(Zalzala : Earthquake)

Pee gayeen..khwabon ko mere..
jhhuk ke nazarein mai-fishaan..
Ye Aashiqui Nayee si hai..
Deedar-e-gham naya sa hai...


Hijr ki raaton se pehle..
woh lagta hum-zubaan sa tha..
Ab roz nayee si silwatein..
Woh har shab ab naya sa hai...


Rok kar mujhe jo kaha..
Ke Ab tum chale jao..
Ye naye naye se shauq hain..
Ye silsila naya sa hai...


Kyon muskuraate hain..har..
Waqt-o-haalat yun "Niraj"..
Shayar naye naye se hain..
Kuch Dard bhi Naya sa hai...

2 comments:

  1. Ehsaas ko apne jo hum bayaan kar bhi paate..
    kuch likh bhi lete toh shayad suna nahi paate..
    Shayari ki ab koi gunjaeesh nahi..
    In nazmon ko jo hum samajh bhi len, toh khushnaseeb kehlaate

    ReplyDelete
  2. achhi baat likhi hai , bachpan ki yaad aa gayi

    ReplyDelete