Search This Blog

Tuesday, June 28, 2011

Tranquility...!!!

Waqt-e-tanhaiyon se..... Daur-e-jaam acchhaa...
Ban jaata hai... Kuch apna bhi kaam acchhaa...

Aisa nahi ke koi aur tha... Darmayaan apne...
Lo rakhte hain hum apne par ilzaam... Acchha...

Kisse ishq waalon se...Sunta hun shab-e-roz..
Naam waale aam hain... Badnaam acchhaa...

Suna hai ke ishq... Chhupaye nahi chhupta....
Chhup-chhupa ke kya kije... Khul-e-aam acchhaa....

Is matlabi duniya mein... Kaun kis se milta hai...
Bas Ek main acchha.... Aur Mera jaam acchhaa...

Tum sochte ho.. Kaise... Jee sakenge tum bin...
Kar liya masroof...khud-ko...subah-o-shaam acchha...

Ab thak gaya bahot hai... Gham-e-rozgaar se...
Ab zara sa is badan ko.... Aaraam acchhaa..


"Niraj " tumhare hijr ki baatein hi kyun kare....
Yeh tera... ghazal-e-dam... Paighaam acchha....

Tuesday, June 14, 2011

Yeh Kaisa Saawan Aaya hai...!!!

Yeh kaisa saawan aaya hai...
Jo ruh ko nehla gaya...

Yeh kaisa saawan aaya hai...
Main rootha tha... Manaa gaya..

Yeh kaisa saawan aaya hai...
Jism-o-jaan... sehla gaya...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Jo neend se... jagaa gaya...

Yeh kaisa saawan aaya hai...

Ungilyaan pakad kar meri...
Ek khwab sa thama gaya...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Mujhe rok kar chala gaya...
Main uski chikni sateh pe yun...
Dagmagaa gayaa...ladkhada..gayaa...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
mujhe khwab se daraa gaya...

Saare ilm... sikha gayaa...
Mujhe aadmi banaa gayaa..
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Mujhe ishq mein baha gayaa...
Ek yaad rakh mere rub-a-roo...
Woh aaina... dikha gaya...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Mujhe aap se milaa gayaa...

Ek ashq ke bayaan par...
Ek boond mein jo tar gayaa...
Ek zameen jo deh gayi...
Ek aasmaan utar gayaa..
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Ek uski nek niyat gayi...
Ek mera josh-e-umr gayaa...
Yeh kaisa saawan aaya hai...

Ek.. uski rehmat gayi...
Ek...meri kismat gayi...
Ek uska garm ehsaas tha...
Ek meri aabroo gayi...
Na dekha kuch idhar udhar...
Woh khwab chaar su gaya...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Jo main uttha... To tu gaya...

Utar ke badan mein agar...
Jo be-gairat ho jaao gar...
Behna baawre.. lahu se yun...
Koi... raasta mil jaaye gar...
Ek zakhm raasta dila gayaa...
Tumhe hawaa se mila gayaa...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Mujhe khaak.. mein milaa gayaa..

Reh reh kar badan ke pairhan..
Cheekh cheekh kar kehte hain...
Yeh kaun sa mod mausam ka hai...
Jo ana.. pe teri muskuraa gaya..
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Mujhe raat bhar jagaa gaya...

Boondein badan ko tod kar...
zakhmein seeli karti hain...
Hosh-o-hawaas par mere...
Bas baadalon sa chha gaya...
Yeh kaisa saawan aaya hai...
Main kahaan ko aaya tha...
Mujhe kahaan ko bulaa gaya...

Honthon ki narm..kone par..
Ek Muskurahat Chhod kar..
Yeh Kaisa Saawan Aaya hai...
Yeh Kis Adaa se Rulaa gaya..

Yeh kaisa saawan aaya hai...
Jo samundar mein sukha gaya...