Search This Blog

Wednesday, May 26, 2010

एक सोच...

ईमान-ओ-यकीन फिसले हैं अगर....
तो गुरूर क्या.... गुमान क्या....
खुद-नुमाई क्यूं आसमान से जब...
ज़मीन खुरदरी हो आपकी.......


कम-हुनर हैं लोग यहाँ पर....
ज़ात परखने के लिए.....
सच कहो तो कहते हैं के.....
जुबां खुरदरी है आपकी.....

4 comments:

  1. khuda ka shukar hai warna gujarti kaise shaam?
    sharaab jisne banayee , use hamara salaam

    yeh suna hai kya?
    upar nahi , neeche dekh

    "ishq nachaaye jisko yaar
    woh phir naache beech bazaar

    ishq karein jisko bimaar
    us pe dawa-daroo bekaar

    ishq mein jo chhode ghar baar
    uske gale mein preet ka haar

    ishq ki keemat jaan aur dil
    ishq na ban paaye beopaar

    rahee kalandar kehta hai
    ishq khudaa ka hai darbaar

    ishq nachaaye jisko yaar.....
    woh phir naache beech bazaar......."

    mitra sir

    ReplyDelete
  2. aab yeh dekh..........

    "woh mera rounak-e-mehfil kahan hai ?
    meri bijli mera haseel kahan hai ?
    mukaam uska hai dil ki khlbaton mein
    khudaa jaane mukaam-e-dil kahan kai
    -------------------------------------

    jis din se judaa woh hum se hue
    is dil ne dhadakna chhod diyaa
    hai chand ka munh bhi utraa utraa
    taaron ne chamakana chhod diyaa

    woh paas hamaare rehti thee,
    be-rut bhi bahaar aa jaati thi
    aab laakh bahaarein aaye to kya,
    phoolon ne mahekana chhod diyaa
    is dil ne dhadakana chhod diyaa........

    hum-raah koi, saathi bhi nahi,
    aab yaad koi baaki bhi nahi
    aab phool khile zakhmon ke kya?
    aankhon ne barasana chhod diyaa
    is dil ne dhadakana chhod diyaa.........

    hum ne yeh duaa jab bhi maangi,
    taqdeer badal de aye maalik;
    awaaz yeh aayee ke aab humne,
    TAQDEER BADALANA CHHOD DIYAA.......

    hai chand ka munh bhi utraa utraa,
    taaron ne chamakana chhod diyaa........."

    mitra sir

    ReplyDelete
  3. Nice one Sir...
    Abida Sun rahe ho Aaj-kal..??

    "Dukh Fasana Nahin Ke Tujh Se Kahein
    Dil Bhi Mana Nahin Ke Tujh Se Kahein

    Aaj Tak Apni Be-Kali Ka Sabab...
    Khud Bhi Jana Nahin... Ke Tujh Se Kahein

    Be-Tarha Haal-E-Dil Hai.. Aur Tujh Se
    Dostana Nahin... Ke Tujh Se Kahein

    Ek Tu Harf-E-Ashna Tha Magar...
    Ab Zamana Nahin.. Ke Tujh Se Kahein

    Qasid! Hum Fakeer Loogon Ka
    Ek Thikana Nahin Ke Tujh Se Kahein

    Ab Tu Apna Bhi Is Gali Mein Faraz
    Aana Jana Nahink Tujh Se Kahein"

    ReplyDelete
  4. great one boss, sahi mein sahi hai

    could you please attach and send the song at my email ID ?

    srv1mtr@rediffmail.com
    srv1mtr@gmail.com

    mitra sir

    ReplyDelete