Search This Blog

Friday, January 18, 2013

"ISHQ" Bar & Restaurant


bahot dino.n mein milte hain..to bahot kuch samajhte hain..
jo roz roz milkar bhi..kuch nahi samajhte...
 
hoti hai aankhon mein...be-baat ki baatein....
aur sochte hain ke log ...kuch nahi samajhte....

ishq mein jalte hain...aur jalte hain ishq se....
garmi-o-dhuaan-o-raakh....kuch nahi samajhte...

yeh asar hai..yah hain...kharaabi-e-ishq ke jalwe...
sab kuch samajh kar bhi....kuch nahi samajhte.....

naadaon ka..na-samajhon ka...khel hai yeh ishq...
kai samajhdaar..ab tak..kuch nahi samajhte...

kahaan ki murravat...aur kahaan ka hisaab....
jo karte hain mohaabat...aur..kuch nahi samajhte...

khud ko kya samajhte hain...iska koi ilm nahi...
par itna hai...ke kisi aur ko...kuch nahi samajhte...

gar tum na samjho..toh kaun..samjhe..aise fitur ko...
fitur se kum zyada..."niraj"...kuch nahi samajhte....
 
Tribute :
 
aye khuda...zinda rakh ....mere raqeeb ko...
hum aaine mein bhi khud ko..kuch nahi samajhte..
 
ek karam ka sadqa...ek reham ki bheek....
ek dua ko
is.se. zyada.... kuch nahi samajhte... 
 
jaane hai patta..butaa...aur baag...sach hai..."Meer"
aaj bhi wohi gul hain..jo...kuch nahi samajhte...

 

3 comments:

  1. Geeta: Nice to see something after a long time...i like this, and the 'tribute' was a nice touch too.
    My fave lines are
    naadaon ka..na-samajhon ka...khel hai yeh ishq...
    kai samajhdaar..ab tak..kuch nahi samajhte...

    ReplyDelete
  2. Geeta: but why "ishq bar & restaurant"?

    ReplyDelete
  3. Hi Geeta, Nice to see you here again..!!!
    The title is just to be little sarcy on the similarities of the attributes of a person who is "drunk" and who is in "love".
    Dono ko lagta hai ke woh sabse zyada samjhdaar hain..aur baaki kuch nahi samajhte..You can relate every line like that..i think...!!!

    ReplyDelete