Search This Blog

Thursday, November 10, 2011

Heedless..!!!

Humne badi sahuliyat se..is rasm ka gumaan rakhha hai...
Ab Woh mujhse nahi poochta...main usse nahi poochta...

Bas keh diya ke kaam mein...aaj kal masroof hun...
Ghar kab tak aaoge...ab to koi nahi poochta...

Parwaane machalte rehte hain...shama ke ird gird...
Kya kua...kyun ho gaya barbaad...nahi poochta...

Tarq-e-mijaaz kar lena...gar main nashe mein hun...
Utthkar khada hua...to main hisaab nahi poochta...

Bhool baitha hun saare, adab peshi ke nuskhe...
Main kisi se ab zyada...sawaal nahi poochta...

Log is be-khayali ko...mohabbat ka naam dete hain...
Main apni dhun mein rehta hun...kisi ka haal nahi poochta...

Itna sasta ho gaya hun...ke muskaan pe bikhar jaaun...
Main kya hun...yeh ..mujhse..main bhi nahi poochta...

2 comments:

  1. Geeta: Nice one! loved the last two couplets :)
    The following lines came to mind and i couldnt resist the temptation to put them down here:

    "Jaane kis ummeed pe chal raha hai yeh dil
    is Jahan mein jahan koi isko nahi poochta"

    ReplyDelete
  2. Kya baat hai Geeta... !!! awesome and of course relating..!! What has it got to do with Similarities..?? lol

    ReplyDelete