Search This Blog

Sunday, October 30, 2011

Jalan...!!!

Ek masoom khwab sa...machal raha hun main....
Yun Ishq ki..is aag mein...Jal raha hun main...

Dum...har dum...bas ab tootne... hi ko hai....
Mere hosh-o-hawaas samet lo...Pighal raha hun main....

Aaghaz Se Anjaam Tak...Intezaam-e-aaraam hai...
Na Jaane Kyun har mod par...badal raha hun main....

To Kya Hua..Jo Ek raat..Main Katron sa bikhar gaya...
Dekh..Katre Katre mein..Sambhal..Raha hun main....

Mere Armaan-o-yakeen mein...Mere Jazbon mein..junoon mein...
Main dhut bhi ho gaya to..Asal raha hun main...

Meri ungliyon ke pooron ko..maine khushbu.ein nawaazi hain..
Mere hone ki ek koshish ko...masal raha hun main...

Kaun se..marasim ki khalish...Yeh Kis Ehsaan Ka vaasta hai...
"Niraj" gaye the..Galat Ghar mein...Nikal Raha hun main...


(Intezaam-e-aaraam : Arrangement to rest
Ungliyon ke por : Finger tips
Asal : Real, truthful
Marasim : Relations )

1 comment: