Search This Blog

Thursday, September 30, 2010

Taaza "Khuda"

Main aasman pe behtar hun...

Zameen ki mujhe talaash nahi...

Bas...apni zaat mein rehta hun..

mujhe dair-o-haram ki aas nahi...


Jala do mujhe..ya dafan kar do..

Main khusboo_on sa beh jaunga....

Bandon ke jo hain.. Faisale Hain..

Sach..Meri Kisi se Koi baat nahi...


Bhool jaate hain.. kabhi kabhi...

mere jalwon... ke maare hue..

Woh meri khair..kyun.. manate hai...

Jab mere bina din-o-raat nahi..


Main yakeen bhi hun...aasaan bhi...

kisi aadat ka ...main..shikaar nahi...

Main har jagah.. beshumaar hun...

Main mohabbat hun..auzaar nahi...


Woh kya banayenge..mandir-masjid..

Jin mein reham-o-pyaar nahi..

Jo khud hi sharmsaar hain..

Unka main parwar-digaar nahi...


Mujhe baksh do...mujhe jaane do...

Mere liye ye.. jahaan-e-aam nahi..

Jo khoon-e-khwaab mein lipta ho...

Main woh raheem-o-raam nahi..


Dair-o-Haram : Temple and Mosque

10 comments:

  1. Khudaa ne hi mujhko yeh bataya hai
    ke mohabbat hi hai tera Khudaa

    - mitra sir

    ReplyDelete
  2. khuda said:

    mai cheez kya hu
    wo inhe malum kaha,
    tukdo me bat diya mujhko,
    thoda yaha thoda waha.

    puchta hu in bando se

    teri aulad jo teri tarah
    tod de tujhko tukdo me,
    kya lagta hai tu ji payega
    aadha yaha aur aadha waha.

    Rooh kaap jati hai meri
    dekh k ye gamgeen jaha,
    rota pata hoo 1 ki khatir
    kyoki dil hai jaha aasu bhi waha.

    ReplyDelete
  3. Nice one KC. Thanks for sharing.

    "Main rakhta hun...har boond ka hisaab..
    Main Samundar hun..Dil bada rakhta hun..."

    ReplyDelete
  4. gaur farmaiyega:

    samandar bada dil wala hai to jaroor,
    isiliye wo boond boond ka hisab nahi rakhta,
    koi 1 boond kisi 1 kone se
    mil jaye ya beh jaye,
    use koi ferk nahi padta.

    Boond boond ka hisab to katori me rakha pani karta hai.

    1 boond jo jyada ho jaye,
    wo boond katori se bahar aa jaye,
    hisab to boond boond ka wo karta hai,
    kyoki wo dil bhi chhota rakhta hai.

    Ye mera khayal hai sir ji.

    ReplyDelete
  5. Sirji. You are right. Sabhi Aise hi sochte hain generally.
    Bada Dil waala chhoti chizon par dhyan nahi deta.Maine ise thoda alag perspective se dekha. Agar Bade dil waala chhoti chizon ka dhyan nahi rakhega..to woh Bada kabhi ban nahi sakta.
    Theek Isi Tarah...Bhagwan/Khuda (Samundar..Here) agar apne bandon(Boondein..here) ka khayal nahi rakhega..toh log use bhool jayenge..An Ocean is synonymous to vastness, greatness and hence it has to take care of his parts,creations,ingredients and hence it is vast...!!
    Thanks for your inputs though.

    ReplyDelete
  6. Ek Nazm... Very interesting...

    "Jab Kamine Urooz paate hain...
    Apni Aukaat bhool jaate hain...

    Kitne Kam-Zarf hate hain Gubbaare...
    Do hi saanson mein phool jaate hain..."

    ReplyDelete
  7. shukriya

    hame hamari galti ka ehsas hua

    par ye line

    ''kitne kam-zarf hate hai
    gubbaare''

    kuch samajh me nahi aaya.
    Plz tell me the meaning

    ReplyDelete
  8. Hi K.C. I think Sir, you got me wrong somewhere. The Verse was to explain the mentality of extremist people who get instigated by fake promises of some poilitians and then take the routes of voilence and hatred in the name of religion.
    I request you to please keep give your opinions and views about my poetries.I have got a selfish interest of improving myself through all your suggestions.
    Waise "Kam-Zarf" means "of low moral and ethical value".
    Please keep visiting and thanks once again for your honest views.

    ReplyDelete
  9. hi sir,
    actually mai aapki urdu wordings se bahut impress hoo. Those wordings r rarely used in poetries i ever seen.
    Aap mujhse bahut bade hai.
    Umeed hai ki aap se bahut kuch seekhne ko milega. Mai thodi urdu wordings use karne ki kala seekhna chahta hu.Mujhe mitra sir ne suggest kiya tha aapke blog pe visit karne k liye n i m very thankful to him.
    Cau u send me ur email id n cell no.

    My email id-
    kc.blueheart@gmail.com

    ReplyDelete