Magnoon-e-Ishq...Kuch Ziyada Ho Jaata hun...
Chaand Puraa Hote hi..Main Aadha Ho Jaata hun...
Main Kahin..Kaafiron sa..Sukoon Dhoondne Lagta hun...
Main Tere Halak Se Nikla Hua..Koi waada ho Jaata hun..
Main Aasmaan sa bankar..Tujhko Samet lun sabhi se...
Ya Mujhko Badan mein Utarne de..Main Baada Ho jaata hun...
Koi Na Rok paaya hai..Ufan..Samandaron ka kabhi...
Tu bas mera yakeen ban jaa..Main..Iraada ho Jaata hun...
Aisa Na hai ke chaand se.."Niraj" jung na jeeta hai...
Tere Reham-e-Khuluus mein..Main Saada ho Jaata hun...
Baada : Wine
Khuluus : Honesty
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
kaise likhoge mohabbat ki kitaab ?
ReplyDeletetum to karne lage pal pal ka hisaab
kis jagah pyaas bujhaane aaye?
yeh jahaan zaher hai pani na sharaab
khushq patton ka muqaddar le kar
aag ke shahar me rehta hoon janaab
zindagi tujh ko samajhte kaise
tere chehre pe hai sadiyon ki naqaab
--- mitra sir
hum ne tere liye riwaaz alag rakha hai,
ReplyDeletetujh ko duniya se meri jaan alag rakha hai,
yaad kar ke tujhe Eid manaa letey hain,
hum ne apney liye tehwaar alag rakha hai ...
hum ne ek shaam charagon se saja rakhi hai
ReplyDeleteshart logon ne hawaaon se laga rakhi hai
shayad aa jaaye koi hum se bhi jiyada pyasaa
bus yehi soch ke thodi si bacha rakhi hai
tum humein qatl to karne nahi aaye lekin
aasteenon me yeh kya cheez chhupa rakhi hai
hum bhi anjaam ke parwah nahi karte yaaron
jaan humne bhi hatheli pe utha rakhi hai
- sir
-
hum ne tere liye.........
ReplyDeleteheavenly...............
- sir
Geeta: wah wah wah and wah! dono milkar maar hi daloge :) This post + comments just made my day!
ReplyDeleteGeeta: Niraj why is it "kafiron sa sukoon dhoondne lagta hoon"? I dont get it :(
ReplyDeleteGeeta: Tu bas mera yakeen ban ja, main iraada ho jaata hoon...this is sublime!
ReplyDeleteThanks Geeta for the compliments.
ReplyDeleteHere, I have assumed that since a "Kaafir" is a non-believer of God..He is still looking out for peace..
And then compare the same feeling with Lover's Promise...(Which is unbelievable and hence i look out for peace)
And Sir is always Amazing with his collections...