Main aasman pe behtar hun...
Zameen ki mujhe talaash nahi...
Bas...apni zaat mein rehta hun..
mujhe dair-o-haram ki aas nahi...
Jala do mujhe..ya dafan kar do..
Main khusboo_on sa beh jaunga....
Bandon ke jo hain.. Faisale Hain..
Sach..Meri Kisi se Koi baat nahi...
Bhool jaate hain.. kabhi kabhi...
mere jalwon... ke maare hue..
Woh meri khair..kyun.. manate hai...
Jab mere bina din-o-raat nahi..
Main yakeen bhi hun...aasaan bhi...
kisi aadat ka ...main..shikaar nahi...
Main har jagah.. beshumaar hun...
Main mohabbat hun..auzaar nahi...
Woh kya banayenge..mandir-masjid..
Jin mein reham-o-pyaar nahi..
Jo khud hi sharmsaar hain..
Unka main parwar-digaar nahi...
Mujhe baksh do...mujhe jaane do...
Mere liye ye.. jahaan-e-aam nahi..
Jo khoon-e-khwaab mein lipta ho...
Main woh raheem-o-raam nahi..
Dair-o-Haram : Temple and Mosque