Woh Ishq tha..khumaar tha...
Har waqt mein shumaar tha...
Woh Mehfil-e-Jaanfishaan...
Har Ruh ka Qaraar tha....
Woh har pal ek sukuun tha..
Mere Lafzon ka Junoon tha...
Woh Mera ek suroor tha..
Meri Bazm ka guroor tha...
woh badaa-o-sharaab tha...
woh noor-e-mahtaab tha..
Meri Chaal ka rubaab tha..
Meri Umr ka Hisaab tha..
Shararaton ka aashiyaan..
Shikayatein Be-panaah...
Baatein Faqr mein lipti huin..
Woh Har Tanz ka Jawaab tha...
Fiqrein masoom si woh...
Nigaah Aatishaan si thi...
Woh Chup to har khuda sa tha..
Har zubaan hi ek dua si thi..
Woh Jab bhi Roobaru hua..
Ek Silsila shuru hua..
Woh kahin to ek aarzu bhi thi..
Imaan-o-Justju bhi tha...
Meri neend ka ahd-o-jaam tha...
Woh Chain tha..Aaraam tha...
Ghhula tha..yun meri zaat mein...
Woh mera har kalaam tha...
Woh hai mukkammal kisi chaand ki tarah..
Maine Umeed-o-Wafaa raazi rakh liya...
Aaj Maine "Niraj" Ek kharaabi kar li...
Tera Naam badalkar.."Maazi" rakh liya...
Khumaar : Nasha
Zaat : Personality
Bazm : World
mehfil-e-Jaan-Fishaan : life of a party
Justju : Search
Maazi : Past
Noor : Light
Mukkammal : Complete
Mahtaab : Moon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
dard-e-dil mein kami na ho jaaye
ReplyDeletedosti dushmani na ho jaaye
kehte ho koi hum ko dil kyun de
kaheen sach much yahi na ho jaaye
tum meri dosti ka dum na bharo
aasmaan muddaii na ho jaaye
baithta hai hamesha rindon mein
kaheen zaahid walee naa ho jaaye
hashr par deed kyun uthaa rakkhi
honewaali abhi na ho jaaye
apni khu-e-wafaa se darta hoon
aashiqui bandagii naa ho jaaye
kaheen Bekhud tumhaari khud-daari
maane' bekhudi nan ho jaaye
- Bekhud Badayuni
-----------------------------------------
yeh thi consolation - aab art of life -
------------------------------------------
zamaane par to naa qaboo chalaa na chaley
udhar hi phir naa chale hum jidhar zamaana chale
woh khizr-e-raah hai mera jo raah gum kar de
woh gum-shudaa hoon jis ka kaheen pata na chale
woh haath hai jo na uthein kabhi duaa ke liye
zubaan wohi hai jo dum-e-arz-e-mudda'a na chale
woh zeest zeest hahi mar mar ke jo gujaarti ho
woh dard dard hai jis par koi dawa na chale
agar hai manzil-e-maqsad ki justaju Bekhud
to woh chaal chal ke tere saath zamaana chale
- Bekhud Badayuni
---------------------------------------------
from mitra sir
from 5-12-2009 to 20-12-2009, contact me at my new AIRTEL number 09975096020, i am at Kolkata
i feel, these lines were written over quite a span of time
ReplyDeletebhavna to hai, par style me continuity nahi hai
-------------------------------
is comment ke pehle Bekhud kaa kuchh khaas lines bheja, achchha lage to approve karna
mitra sir
Both the Posts are amazing sir... Bas likhta Jaa raha tha.. Is par zyada dimaag nahi lagaya.... Yeh Thoda Important hai... Its OBITUARY....
ReplyDeleteWrote 4 Poetries Day before yesterday... 2 more to go.. Look forward to it...!!!
ReplyDeleteGeeta: Classy! Gadgad ho gayi hoon ye padhkar, it is one of your very best in my opinion!
ReplyDeleteGeeta: Mitra Sir, you've got a fabulous database, you always come up with some real gems like the above.
ReplyDelete